Top 10 Shayari of Rahat Indori
Aag ke paas kabhi mom ko lakar dekhu
ho ijazat to tuje hath laga kar dekhu..
❤❤❤❤❤❤❤❤
Tufaano se aankh milao,sailaboo par war karo
mallahao ka chakkar chodo,tair kar daria paar karo..
❤❤❤❤❤❤❤❤
mai jab mar jau meri alag pehchan likh dena
meri peshani pe lahu se hindustan likh dena...
❤❤❤❤❤❤❤❤
Kisne dastak di ye dil par kaun hai
aap to andar ho ye bahar kaun hai..
❤❤❤❤❤❤❤❤
Meri saaso me samaya bhi bahut lagta hai
wahi Shaks paraya bhi bahut lagta hai...
aur usse milne tamanna bhi bahut hai
magar aane jane me kiraya bhi bahut lagta hai...
❤❤❤❤❤❤❤❤
Andhere charo tarf saaye-saaye karne lage
Chirag hath utha kar duaaye karne lage..
salikaa jinko seekhaya tha hamne chalne lage
Wo log aaj hume daaye-baaye karne lage..
❤❤❤❤❤❤❤❤
Kabhi akele me mil kar janjhorr duga use
jaha jaha se wo toota hai jod duga use..
aur muje wo chod gaya ye kamal hai uska
irada maine kiya tha chod duga use...
❤❤❤❤❤❤❤❤
Kashti tera naseeb chamakdar kar diya
iss paar ke thapedo ne uss par kar diya
aur afwah thi ke meri tabiyat kharab hai
logo ne pooch pooch ke bimar kar diya..
do gaj sahi ye milkiyat to hai
ay maut tune muje zamidaar kar diya..
❤❤❤❤❤❤❤❤
Teri har baat mohabbat me gawara kar ke
dil ke bazar me baithe hai khasara karke
asmaan ki tarf fek diya hai maine
channd mitti ke chirago ko sitara karke...
EmoticonEmoticon