kaabe ki hai hawas kabhi kuu-e-butaa ki hai....
mujh ko Khabar nahi meri mitti kaha ki hai..
kuch taazagi ho lazzat-e-aazaar ke liye har dam..
mujhe talaash naye aasamaa ki hai
hasarat baras rahi hai mere mazaar se
kahate hai sab ye qabr kisi naujavaa ki hai...
qaasid ki guftaguu se tasalli ho kis tarah
chhipati nahi vo jo teri zubaa ki hai
sun kar meraa fasaanaa-e-Gam us ne ye kahaa
ho jaaye jhooth sach, yahi Khuubi bya ki hai
kyu kar na aaye Khuld se aadam zami par
mauzu vahi vo Khoob hai, jo shay jaha ki hai....
❤❤❤❤
EmoticonEmoticon