Pesh-E-Nazar



Hindi shayari

apne aks par pesh-e-nazar karte rahe

wo aaye he nahi aur hum apna dar dekhte rahe...



na jane kis se ho wo ru-bu-ru

isliye dil apna badalte rahe...


apne aks par pesh-e-nazar karte rahe............


hum kya chipate nazro ko bhala jab 
wo har nazar me utarte rahe...

apne aks par pesh-e-nazar karte rahe............

kuch aise bhi hum pe guzri hai shaame wisal ki
dil jalta raha aur hum shamme badalte rahe...

apne aks par pesh-e-nazar karte rahe
wo aaye he nahi aur hum apna dar dekhte rahe.........


mere lafzo me ab wo baat kaha ke ruk jaye sba
unke kadmo ke the jo nishaan kadmo se apne mitate rahe....

apne aks par pesh-e-nazar karte rahe....

har koi kya shok se badal raha tha hunar apna
hum the nadan aaine ghar ke badalte rahe...

apne aks par pesh-e-nazar karte rahe............


"dard" harfo me jhulusti rahi hai dua teri
aur wo hai ke parde aasmaa ke badalte rahe..............

Previous
Next Post »

New Updates